Sunday, September 10, 2017

Pdf File Ka Password Remove Kaise Kare

Es post me me aapko bataya hai ki aap kisi bhi PDF file ke password ko remove kaise kare . kai bar jab ham koi online pdf file download karte hai to usme password laga rahta hai jise lagaye bina ham us file ko dekh nahi pate hai.

Pdf File Ka Password Remove Kaise  Kare

aaj me es post me google chrome browser ko use karke pdf file ka password break karne ke baare me sikhenge . Kai baar ham pdf file ke password ko remove karne ke liye online software ko use karte jo kafi  boring process hai.

aaj me aapko bina kisi software ka use kiye bina pdf file ka password remove karne ke baare me bataungaa.

Pdf File Ka Password Remove Kaise  Kare 

Pdf file ka password remove karne ke liye sabse pahle aap jis pdf file ka password remove karna chahte hai usko google chrome browser me open kare.

Open karne par aapke samne password window open hoga jisme aapko us pdf file ka password dalna hai. password dalne ke bad wah file open ho jayegi.



ab aapko Print option ko select karna hai. uske baad Save as Pdf  par click karke file ko Save kar dena hai.

Pdf File Ka Password Remove Kaise  Kare



ab aap save ki hue file ko open karke dekh sakte he us file ka password remove ho gaya hai or wah bina password ke hi open ho jayegi. upar bataya gaya pura process offline hai aap ese offline use kar sakte hai.

I hope aapko yeh choti si trick samaj aa gyi hogi fir bhi yadi aapka koi sawal ho to aap comment box me puch sakte hai.

Thursday, August 31, 2017

Adobe Photoshop Top 15 Tools Ki Puri Jankari Hindi Me

Hello friends es post me aapko photoshop ke basic tool ke bare me puri jankari di jayegi. es post me me aapko photoshop ke un sabhi tool ke bare jankari dunga jo sabse jyada use kiye jate hai.


Photoshop me left side me jo tool bar dikhayi deta he use hum photoshop ke basic tool kahte he or enki madad se hum bahut hi aasani se badiya photo bana sakte hai esliye en tools ki jankari aapko hona jaroori hai yadi aap photoshop me photo banana chahte he.

Photoshop ke basic tool ki puri jankari pane ke aap es post ko pura jaroor pade kyoki es post me mene photoshop tools ke bare me puri jankari di hai.

Photoshop Important Tools  Ki Jankari

1. Selection Tool (M)


Es tool se hum photoshop me photo ka area select kar sakte hai. es tool dvara ham photo ke kisi bhi part ko select kar usme editing kar sakte hai.
es tool ko use karne ki shortcut M hai aap es tool ko use karne ke liye M press kar sakte hai. yadi aap selected area ko deselect karna chahte he to CTRL+D ka use kar sakte hai.

2. Move Tool  (V)


es tool se ham photo ko ek jagah se dusri jagah move kar sakte hai. yadi aap es tool ko Alt button dabaye rakh kar use karte he tab aapke photo  ki nyi copy ban jayegi jise aap kahi par mave kar sakte he es tool ka upyog ek photo ki do copy ya adhik copy banane me kiya jata hai.

3. Lasso Tool (L)


es tool se aap photo me kisi part ko select kar sakte hai. ye tool photo me kisi chote part ko select karne ke kaam aata hai. es tool ke ander do or tool he jinme se magnetic lasso tool sabse badiya hai or sabse jyada use kiya jata hai kyoki ye tool magnet ki tarah kaam karta or esse autumatic select hota hai.

4. Magic Wand Tool (W)


es tool se ham photo me ek hi color ke part ko automatic select kar sakte hai.es tool ka upyog jayatar background change karne ke liye kiya jata hai. es tool ke selection ka samy me kiya ja sakta hai. es tool  ko use karne ki shortcut key W hai.

5. Crop Tool (C)



es tool se ham photo crop kar sakte hai. yani kisi badi photo ko chota kar sakte he ya fir photo me se anavshyak part ko hata sakte hai.es tool ki shortcut key C hai.

6. Healing Brush Tool (J)



es tool se photo me kisi part ko select kar use dusri jagah use me le sakte hai. select karne ke hame ALT badaye rakhkar mouse se part select karna hai. ye tool face clean karne tatha acne remove karne ke kaam aata hai.

7. Brush Tool (B)



Brush tool se ham photo par color kar sakte.

8. Eraser Tool (E)



Eraser tool se photo ke kisi bhi part ko mita sakte hai. es tool ka prayog jab koi galat editing ho jati he to usko mitane me kiya jata hai. es tool ke ander ek or background eraser tool hota jiska prayog photo me background change karte samay kiya jata hai.

9. Paint Bucket Tool (G)


es tool se ham text ka color change kar sakte or es tool se photo ke kisi bhi part ka color change kiya ja sakta hai.es tool se pattern ko fill karke photo ka background bhi change kar sakte hai.es tool ko use karne ki shortcut key G hai.

10. Blur Tool (R)


es tool se photo ke kisi bhi part ko blur(dhundhla) kar sakte jisse ki vo part kisiko dikhe nahi or use koi pahchan nhi paye.

11. Dodge Tool (O)



es tool se ham face ko clean or gora kar sakte hai. es tool se photo ki brightness bhi badayi ja sakti hai.es tool ki shortcut key O hai.

12. Text Tool (T)





es tool se ham photo par likhne ka kaam kar sakte yani es tool ka prayog kar ham photo par kuch bhi likh sakte hai.

13. Pen Tool (P) 


es tool ka prayog bhi photo me selection karne ke liye hota hai. lekin es tool se ham baki tool ki tulna jaldi selection bana sakte hai.es tool ka prayog new page logo banane bhi kiya jata hai.

14. Custom Shape Tool (U) 


es tool ka prayog kar aap photo me alag alag aakrtiya jod sakte hai. es tool me kai tarah ki default aakrtiya aati jinka aap use kar sakte example aero, box ete.

15. Eyedropper Tool (I)


es tool se ham photo me color choose karne ke liye karte hai matlab hame photo me ek color he same usi prakar ke color ko kahi or use karna hai to ham es tool se use color par jakar click karenge to wah color select ho jayega.

Dosto ummid karta hu ki aapko yah post pasand aayi hogi or aasha karta hu ki es post me mene photoshop ke jin tool ke bare bataya hai vo sab aapko samaj aa gya hoga fir bhi yadi aapka koi sawal hoto to aap comment box me puch sakte hai.
























Saturday, August 12, 2017

Ribbon Blogger Template Ko Customize Kaise Kare

Namskar dosto aaj me aapko Ribbon Template ko edit or customize karne ke baare me bataunga.
dosto mene dekha hai ki jyadatar logo ne apne blog par ribbon template ko use kiya hua hai.

Dosto mene bhi apni blog par ribbon template hi lagaya hua hai. ribbon template hi 80% logo ki pasand hai to esliye aaj hum Ribbon Blogger template ko customize kaise kare uske bare me jante hai.

Sabse pahle yadi aapne ribbon template abi tak download nhi kiya hai or abi karna chahte hai to aap google par "Ribbon Template" search kar aasani se bilkul free download kar sakte hai.


Ribbon Blogger Template Ko Edit Or Customize Kaise Kare

1. Menu bar kaise edit kare

Sabse pahle Blogger me login kar le or yadi es template ko upload nhi kiya hai to kar le or sath hi backup bhi bna de.
Blogger deshboard  open kare or Theme par click kare bad Edit HTML Par click kare
ab aapke samne ek HTML page open hoga jisme aap kahi par bhi click karke CTRL+F dabaye or usme ribbon template ke pahle menu bar ka name likhe exmple Business type kare or enter dabaye. ab aapke samne yellow colour se selected business likha hua dikhega usme aap business ko hta kar koi dusra page ka name dal de or # ko hta kar yha par us page ki link paste kar jiska aapne name likha hai. yadi aap menu ke nich sub menu nhi rakhna chahte to 

  

ye code itna code delete kar de or ab template ko save kar de.Esi tarike se aap sabhi menu ko edit kar sakte hai or apne template ko badiya bana sakte hai. 

2.Widget Remove kaise kare

Widget  remove karna bahut hi simple hai. yadi koi widget aapko pasand nhi he or aap use hata sakte hai.
sabse pahle blogger deshboard open kare usme Layout par click kare esa karne par aapko right side me kuch widget najar aayenge unme se jis widget ko remove karna uske niche edit par click kare


 esa karne par new window open hoga usme Remove par click kare or save kar de.

3. Social Button Kaise Edit Kare 

Social button template me hona bahut jaroori hai kyoki social button se hum kisi bhi article ko social media me share kar sakte esa karne se hamare blog par visitor bhi badte hai.

sabse pahle theme par click kare bad Edit HTML Ko open kare ab usme CTRL+F ki madad se  <div class='ribbon-social-buttons'> ye code search kare.
ab aap yahi social button use karna chahte he to <a href='https://www.facebook.com/ es code ke aage apna facebook user name dal de or template ko save kar de.
yadi aap kisi social button ko remove karna chahte to <a  se lekar </a> tak code ko remove kar de.

example :-

Yadi muje youtube button ko remove karna he to me yah code remove karungaa.

 esi tarike se aap kisi social button ko edit or remove kar sakte hai.

4. Ribbon Blogger Template Me Logo Kaise Lagaye

sabse pahle blogger dashboard open kare.
ab layout option par click kare or Headersec layout ke niche Edit button par click kare.

ab Browse par click apni logo file ko select kare. or yadi aap koi title  dena chahte he Blog title me likh ya fir khali bhi chod sakte hai. logo placement me Instead of title and description ko select kare or template ko Save kar de.


5. Footer Ko Kaise Edit Kare

 Footer Edit karne ke liye blogger dashboard me Theme par click kar Edit HTML Par click kare ab aapke samne HTML page open hoga usme kahi bhi click kar CTRL+F dabaye or usme Design by search kare.

yadi aap screenshot me btaye gaye footer ki tarah apni site ka footer banana chahte hai to muje follaw kare.

Design by search karne par aapko

 </a><br/>Design by <a href='https://hindidigitalhelp.blogspot.in/' target='_blank'>Hindidigitalhelp</a>

esa code dikhayi dega jisme aap jaha par meri website ke naam ki jagah apmi site ka naam or jaha mene meri site ka link diya he vha aap apni site ka link dal or template ko save kar le .


Es tarah aap bahut hi aasani se apne blog me Ribbon Template ko Edit or Customize kar sakte hai.
yha par mene sirf ribbon template ko hi edit karne ke baare me btaya he lekin aap esi tarike se kisi bhi Blogger template ko Edit or Customize kar sakte he.

Aapko Template customize karne me koi problem aati hai to aap comment karke puch sakte hai.

Subscribe Youtube Channel