Wednesday, March 14, 2018

PDF File Me Digital Signature Ko Validate Kaise Kare

Namskar dosto aaj ki es post me aapko PDF File Digital Signature ko validate karne ka sabse aasan tarika bataunga to Digital Signature Validation ke bare me janane ke liye es post ko dhyan se pura padhe.

Dosto digital india ke es yug me aajkal sab kuch digital hota ja rha. esliye ab lagbhag sabhi sarkari document me Digital Signature verification hota hai.

Digital signature dvara bane document ka jab ham pdf download karte he to usme jo signature kiya hota hai vah hamare pdf reader me invalid batata ha usko hame validate karna padta hai to usko validate karne ka tarika jante...

Digital Signature Ko Validate Kaise Kare

Step 1

Digital Signature Verification

Sabse pahle jis document me digital signature invalid he us Pdf file ko adobe reader me open kare.

Step 2

PDF Document ko open karne ke bad invalid signature par mouse se right button par click kare or signature properties ko open kare.

Step 3

Signature Properties ko open karne ke bad usme Legal button par click kare or usme Signer Legal Notice ko open kare.

Digital Signature Verification

Step 4

Signer legal notice ko open karne ke baad usme Trust menu par click kare or Add to Trusted Identities par click kare or ok button par click kare.

Digital Signature Verification

Step 5

ok press karne ke bad jo pop up menu open hota he usme sabhi box par check mark lagaye or Ok kar de.
Digital Signature Verification

Ok press karne ke bad Validate Signature par click kare or close button par click kar de aapka document me jo signature he vah validate ho jayega.

Validate Signature
Add caption

ab aapke Document ke digital signature par jo question mark tha vah bhi hat jayega or signature Valid ho jayega.

upar bataye gye process se signature verification karne me aapko koi problem aati he to comment me zaroor bataye taki me uska solution aapko bata saku or yadi aapko yah post badiya lagi ho to like or Share karna na bhule.


Subscribe Youtube Channel