Wednesday, April 25, 2018

Kisi Bhi File Ki Size Kam Kaise Kare !! File Compressing In Hindi

Namskar dosto ...
es post me aaj ham baat karenge kisi bhi file ki size kam karne ke bare me. kai baar hame kisi game ya kisi software ko ek device se dusre device me lena hota hai tab hamare samne us file ki size badi hone ke karan problem aati hai.

Es wajah se ham file copy nhi kar pate hai. Esliye es post me me aapko kisi bhi file ki size kam karne ka sabse aasan tarika bataungaa.
                                                                                         
File Compressing In Hindi

File size kam karne ke liye aaj ham Do software ke bare me baat karenge jinka naam 7-zip or winRAR. ye dono hi software bahut badiya hai or bahut hi kam size ke software he jo bilkul free hai or aasani se download kiye ja sakte hai.

File Size Kam kaise kare ? Sabse Aasan Tarika.

Step 1

sabse pahle jis file ki size kam karni hai us file par right click kare or add to archive par click kare.

File Compressing In Hindi

Step 2

add to archive par click karne ke baad nya tab open hoga jisme aapko screenshot me bataye anusaar setting karni hai or fir ok par click kare.

7zip File Compressing In Hindi

yadi aapko file ki size jyada kam karni hai to aapko compression level Ultra mode pe rakhna hai.

Step 3

ok par click karne ke baad compressing process complete hone ke baad zip format me ek file milegi jiski size original file size se kam hogi. fir ham zip file ko copy kar sakte or apne kisi dusre device me transfer kar sakte hai. 

File Compressing process

compressing  process complete hone me 10 se 15 min ka time lag sakta hai wo aapki computer ki speed par defend karta hai.

hamari post kaisi lagi comment me zaroor bataye or yadi acchi lagi ho to friends ke sath share kare.

Subscribe Youtube Channel