Saturday, May 11, 2019

Youtube Se Mp3 Song Download kaise kare

Friends vartman me youtube bahut jyada popular platform hai videos or gaane sunne ka youtube par hamare kai man pasand song uplabdh hai jinhe ham rojana sunte or dekhte hai lekin kuch gaane ese hote hai jinhe ham sirf mp3 format me hi sunana pasand karte or un gaano ko apni gallary me save karna chahte hai lekin youtube par kewal video hi uplabdh hai esliye hame us gaano ko video format me apni gallary me save karna padta hai.

Dosto YouTube se mp3 song download karne ki bahut sari website hai jinke madhyam se YouTube songs ko download kar sakte hai lekin aaj me aapko es post me kuch behtreen converter ke bare me bataungaa.


Jio phone aane or saste smart phone market me aane se aajkal youtube par videos dekhne ka craze kafi  badh gya hai to aaj me aapko youtube se Mp3 song download karne ka aasan tarika batata hu.

Youtube se Mp3 Song Download Karne ka Tarika. 

Step 1
Sabse aap jis song ko download karna chahte hai us song ko youtube par search karke open kar le or fir address bar se us video ki URL ko copy kare.

youtube to mp3


Step 2
Ab aapko ek online video converter ki website ko open kare website open hone ke baad paste link here wale box me us youtube video ki URL ko paste kare jisko aap download karna chahte hai.
Ab link paste karne ke baad niche diye gye format button par click kare or Mp3 format ko select kare.
Dosto es website se kai sare audio formats or video formats me file ko convert kar sakte hai.

youtube to mp3 download


Step 3
Ab niche diye gye option More Settings par click kare or Audio Quality ko select kare esme aap 320kbps 256kbps 192kbps 128kbps 96kbps or 64kbps ki quality me audio ko convert kar sakte hai.

youtube video converter


Eske alawa es website par aapko video ki duration set karne ka option bhi diya gya hai jisse aap video apne hisab se duration set karke bhi Mp3 format me download kar sakte hai.

Step 4
Ab aapko niche diye START button par click karna click karte hi video converting shuru ho jayegi convert hone ke baad Download ka button dikhayi dega uspe click karte hi aapka song Downloading shuru ho jayegi.


friends yaha mene sirf ek website ke baare me bataya hai esi prakar ki or bhi bahut sari website hai jinke madhayam se aap youtube video ko mp3 me download akr sakte hai. un website ko aap google me search kar sakte hai mujhe yah website sabse badiya lagi esliye mene aapko eske baare me bataya.
es website se aap jio phone me youtube video ko mp3 me download kar sakte hai.

dosto yadi aapko meri yah post acchi lage to friends ke sath share jaroor kare.

Subscribe Youtube Channel